• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kya Mera iKHtiyar Zaman-O-Makan Par

Kya Mera iKHtiyar Zaman-O-Makan Par

kya mera iḳhtiyar zaman-o-makan par

pahre biTha diye hain kisi shai ne dhaan par

tujh se bichhaḌ ke ghar ki taraf lauTte hue

kyuun bastiyon ka vahm hua har chaTan par

hasrat rahi ki surat-e-ab-e-ravan chalen

kab se misal-e-sang paḌe hain Dhalan par

thi jin ki dastaras men hava pa-ba-gil hue

ai musht-e-ḳhak zo.am kahan ka uḌaan par

haan aarzu to dil men kabhi se hai zaḳhm ki

kya apna iḳhtiyar kisi ki kaman par

Dhalne lagi hai shaam mire ḳhak-dan ki ḳhair

shoa.la-fishan hui hai shafaq asman par

‘shahid’ tamam umr phira dar-ba-dar magar

dastak na de saka kabhi apne makan par

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mast-E-Nigah-E-Naz Ka Arman Nikaliye

asrarul-haq-majaz

Fikr

abroo-shah-mubarak

Aashiq Bipat Ke Mare Rote Hue Jidhar Jaan

Kya Sar-E-Tahrir Hai Aur Kya Pas-E-Tahrir Dekh

poet

Agar Main Jaanta Hai Ishq Mein dhadka Judai Ka

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet