• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / zaKHm Khane Se Ya Koi Dhoka Khane Se Hua

zaKHm Khane Se Ya Koi Dhoka Khane Se Hua

zaḳhm khane se ya koi dhoka khane se hua

baat kya thi main ḳhafa jis par zamane se hua

ek pal men ik jagah se itna raushan asman

koi taara bante bante TuuT jaane se hua

sochta rahta huun main aksar ki aghaz-e-jahan

din banane se ki pahle shab banane se hua

main ghalat ya tum ghalat the chhoḌo ab is baat ko

hona tha jo kuchh vo jaise ik bahane se hua

kuchh zamane ki ravish ne saḳht mujh ko kar diya

aur kuchh bedard main us ko bhulane se hua

baat saari asl men ye thi main us se bad-guman

ik ta.alluq men kahin pe shak ke aane se hua

bach hi nikla huun main jaaḌe ki baḌi yalghar se

garm ab ke ghar badan ka ḳhas jalane se hua

kya kahun meri giraftari ka koi ehtimam

kaise zer-e-dam rakkhe ek daane se hua

umr bhar ka ye jo hai ‘shahin’ ḳhasara ye mujhe

ek saude men koi neki kamane se hua

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Uski Nazar Ka Mujh Pe Kuchh Aisa Asar Hua

Hawa-E-Tez Ke Aage Kahan Rahega Koi

nazeer-akbarabadi

Us Shokh Ko Humne Jis Ghadi Ja dekha

kishwar-naheed

Main Tasht-E-Khwab Liye Hath Mein Guzar Gai Hun

Rasta Koi Dekhta Hoga

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet