baḌi mushkil kahani thi magar anjam saada hai
ki ab us shaḳhs ka ham se bichhaḌne ka irada hai
aur is ke ba.ad ik aise hi lamhe tak hai ḳhamoshi
hamen dar-pesh phir se lamha-e-tajdid-e-va.ada hai
suno raste men ik jalta hua sahra bhi aa.ega
kaho kab tak hamare saath chalne ka irada hai
hamen asaniyon se pyaar tha aur log kahte the
agar manzil se haT jaa.en to har rasta kushada hai
sitara-dar-sitara TuTta hai asman to bhi
tire qisse men bhi meri kahani ka i.aada hai
main huun na-mo’tabar manzil ki ḳhatir mo’tabar rah par
vajud-e-ḳhvahish-e-jan par duaon ka libada hai
kuchh aisi shiddaton se ham guzar kar aa.e hain ‘adil’
hamen teri zarurat bhi zarurat se ziyada hai
Leave a Reply