mera adam vajud bhi kya zar-nigar tha
charon taraf ḳhala men chamakta ghubar tha
sahil bani nigah ki had fasle miTe
girdab-e-mauj-e-dud makan ka hisar tha
pi kar lahu siyah hui kisht-e-arzu
kya dekhte ki ḳhaak ka da.ava bahar tha
maujon men Dubti hui surḳhi thi shaam ki
dil dasht-e-pur-sukut tha dariya qarar tha
ik bojh uTha.e shaam ko lauTa huun main niDhal
main apne dam-e-shauq men kya ḳhud shikar tha
dil ka suragh kya ki jahan tak nigah ki
nairang-e-naqsh-e-rafta-e-pa-e-farar tha
main ik shajar sukut tha aur meri chhanv men
girta hua sadaon ka ik abshar tha
ḳhurshid-o-mah mere liye ik fasana the
tarik jangalon ka main lail-o-nahar tha
sho.ale daraz dast the aur mere samne
ḳhurshid sham-e-dasht ka tarik ghaar tha
main ḳhak-e-dil bikher raha tha hava men ‘zeb’
aur is se be-ḳhabar tha ki us men sharar tha
Leave a Reply