kaaba hai kabhi to kabhi but-khana bana hai
ye dil bhi ajab chiiz hai kya kya na bana hai
jis roz se dil aap ka divana bana hai
ek lafz bhi nikla hai to afsana bana hai
ye aaj ka din hashr ka din to nahin yarab
apna tha jo kal tak vahi begana bana hai
tinkon ka to bas naam hai sachchai yahi hai
ik jehd-e-musalsal hai jo kashana bana hai
takhrib ke parde men hi taamir hai saaqi
shisha koi pighla hai to paimana bana hai
takmil-e-vafa hosh men mumkin hi nahin tha
divana samajh buujh ke divana bana hai
duniya men koi mol na tha ‘shauq’ ka lekin
qismat hai jo sang-e-dar-e-janana bana hai
Leave a Reply