jaata hai yaar sair ko gulzar ki taraf
meri nigah hai gul-e-ruḳhsar ki taraf
hoti hai mere samne tasvir yaar ki
jab dekhta huun main dar-o-divar ki taraf
ya-rab ho ḳhair aaj ki kuchh dekhta hai vo
meri taraf kabhi kabhi talvar ki taraf
karta hai qatl ashiq-e-miskin ko bazm men
duzdida dekhna tira aghyar ki taraf
hasrat hai ye maren bhi jo qaid-e-qafas men ham
sayyad phenk de hamen gulzar ki taraf
chak-e-qafas se dekh tu ai andalib-e-zar
kuchh lag rahi hai aag si gulzar ki taraf
Leave a Reply