• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Agar Tujhse Hun to Phir Aur Kya Hun

Agar Tujhse Hun to Phir Aur Kya Hun

poet

agar tujh se huun to phir aur kya huun

main kis jaisa huun kis kis se juda huun

mujhe ma.alum hai kitna bura huun

ye kya kam hai ki apna aa.ina huun

koi divar si TuuTi hai shayad

main andar hi kahin girne laga huun

kabhi to samne a.unga apne

ki apni raah men kab se khaḌa huun

mujhe ehsas ne ghera hua hai

main apne-ap apna da.era huun

ye mera haath kis ke haath men hai

ye kis ke paanv hain jin par khaḌa huun

mire alfaz patthar ho ga.e hain

main apne haath se zaḳhmi hua huun

ḳhud apne-ap ko avaz de kar

na jaane ‘ashk’ kis ko DhunDhta huun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

rashmi-bhardwaj

Khwahish

taashshuq-lakhnavi

Apni Farhat Ke din Ai Yar Chale Aate Hain

Junun Ke Walwale Jab ghuT Gae Dil Mein Nihan Ho Kar

poet

Tumhaare Ishq Mein Hum Nang-O-Nam Bhul Gae

Jaise Hon Lashen Dafn Purane khanDar Ki Buniyaad Tale

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet