barmala husn-e-dil-avez ka qissa na suna
chak-e-daman na dikha uzr-e-zulaiḳha na suna
qabil-e-zikr mohabbat ke bahut se ruḳh hain
kar-e-vahshat ke siva aur koi afsana suna
vaqt tezi se guzarta hai par aisa bhi bhi nahin
aaj kahta hai bahut qissa-e-farda na suna
a.ina-ru koi ta.abir zara dikhla de
taaki pahchan luun us ko jise dekha na suna
kab se huun gosh-bar-avaz tiri mahfil men
yaar dildar bas ab shikva-e-beja na suna
kal talak shor-e-anadil tha chaman men vaan aaj
ik qayamat se koi dil bhi dhaḌakta na suna
kisi janib se chale ‘rahi’ hava-e-namnak
charagar zikr-e-tunuk-abi-e-dariya na suna
Leave a Reply