Tere Aate Hi Sab Duniya Jawan Malum Hoti Hai

tire aate hī sab duniyā javāñ mālūm hotī hai

ḳhizāñ rashk-e-bahār-e-jāvedāñ mālūm hotī hai

junūn-e-sajda-rezī kā ye aalam hai ma.āz-allāh

har ik chaukhaT tirā hī āstāñ mālūm hotī hai

use har ahl-e-dil pahroñ maze le le ke suntā hai

mirī biptā hadīs-e-dil-barāñ mālūm hotī hai

kaTe haiñ din balāoñ ke sahāre jin asīroñ ke

unheñ bijlī bhī shāḳh-e-āshiyāñ mālūm hotī hai

ma.āl-e-zindagānī kī haqīqat khul ga.ī jab se

kasak dil kī matā-e-do-jahāñ mālūm hotī hai

ḳhayāl-e-aish kī parchhā.īñ se bhī dil laraztā hai

nigāh-e-husn ab kyuuñ mehrbāñ mālūm hotī hai

ḳhudā shāyad hai mere bhūlne vaale ba-juz tere

mujhe taḳhlīq-e-ālam rā.egāñ mālūm hotī hai

kisī kī justujū meñ ‘vajd’ us manzil pe pahuñchā huuñ

jahāñ manzil bhī gard-e-kārvāñ mālūm hotī hai

Leave a Comment