shikva-e-gardish-e-taqdir se kya hota hai
karsaz ahl-e-mohabbat ka ḳhuda hota hai
shikve hote hain mohabbat men gila hota hai
koi apnon se bhi is tarah ḳhafa hota hai
muskura.e vo mire gham ki hikayat sun kar
shayad ab un ko bhi ehsas-e-jafa hota hai
aa hi jaata hai mohabbat men ik aisa lamha
mudda.a dil ka jab ankhon se ada hota hai
ik qayamat si guzar jaati hai apne dil par
jab gale mil ke koi ham se juda hota hai
dil dhaḌakta hai ki anjam na jaane kya ho
jab kabhi lutf-o-karam un ka siva hota hai
ishq ke nala-e-mahrum rasa ho ke rahe
ab taghaful bhi ba-unvan-e-vafa hota hai
shikva-e-gardish-e-ayyam se hasil ai ‘soz’
qaid-e-hasti se koi yuun bhi riha hota hai
Leave a Reply