khet men kaam karti hui ladkiyan
jeth ki champai dhuup ne
jin ka suuna badan surmai kar diya
jin ko raton men os aur paale ka bistar mile
din ko suraj saron par jale
ye hare lawn men
sang-e-marmar ki benchon pe baithi hui
in muraton se kahin khubsurat kahin mukhtalif
jin ke jode men juuhi ki kaliyan sajen
jo gulab aur bele ki khushbu piyen
aur rangon ki hiddat se pagal phiren
khet men dhuup chunti hui ladkiyan bhi
nai umr ki sabz dahliz par hain
magar aaina tak nahin dekhtin
ye gulab aur daisy ki hiddat se na-ashna
khushbuon ke javan lams se be-khabar
phuul chunti hain lekin pahanti nahin
un ke malbus men
tez sarson ke phulon ki baas
un ki ankhon men raushan kapas
Leave a Reply