isī bāzār tak bas raushnī hai
phir is ke ba.ad ik andhī galī hai
har ik āvāz meñ hai ajnabiyyat
har ik chehre pe ik be-chehragī hai
yahāñ rasman hai sab kī ḳhush-libāsī
nazar se be-libāsī jhāñktī hai
hai ghar meñ ḳhāmushī kā ek jañgal
isī jañgal meñ kaalā naag bhī hai
ajab durgandh hai vātāvaran meñ
kisī tālāb meñ machhlī marī hai
hameñ ākāsh par jaanā thā lekin
hamāre paañv meñ rassī bañdhī hai
zarā lahje ko tum shā.ista kar lo
tumhāre pīchhe ik laḌkī khaḌī hai
vo chehrā jo kabhī dekhā nahīñ thā
vo chehrā yaad mujh ko aaj bhī hai
abhī haiñ ḳhvāb giile bādaloñ ke
abhī bārish meñ laḌkī bhīgtī hai