vo hansna yaad aata hai vo rona yaad aata hai
tujhe ai zindagi pa kar vo khona yaad aata hai
vo shab bhar jagna chahat men ik gulzar lamhe ki
vo teri god men sar rakh ke sona yaad aata hai
tire dil ki zamin par gul khilana apni ulfat ke
tire ankhon men apne ḳhvab bona yaad aata hai
vo ḳhalvat men bhi tera chuḌiyon se khelte rahna
mire hamrah ho kar bhi na hona yaad aata hai
mujhe to yaad hain ab tak tumhari surmagin ankhen
tumhen bhi kya vo ik laḌka salona yaad aata hai
kahan ham bhuul paa.e hain tiri banhon ka vo takiya
vo tere maḳhmalin tan ka bichhauna yaad aata hai
mujhe mas.hur rakhne ko tira kya-kya jatan karna
vo jaadu yaad aata hai vo Tona yaad aata hai
inhin hathon tujhe phir saunp dena ghair ke hathon
safina apni chahat ka Dubona yaad aata hai
mahak apni mulaqaton ki hai jin men basi ab tak
tumhare ghar ka vo ik ek kona yaad aata hai
Leave a Reply