kaise samjha.un nasim-e-sub.h tujh ko kya huun main
phuul ke saa.e men murjhaya hua patta huun main
ḳhaak ka zarra bhi koi tere daman men na tha
qadr kar ai zindagi TuuTa hua taara huun main
har dhaḌakte dil se an-jana sa rishta hai mira
aag daman men kisi ke bhi lage jalta huun main
apni tariki sameTe puchhti hai mujh se raat
kaun si hai sub.h jis ko DhunDhne nikla huun main
mujh ko samjha.e to koi razdar-e-ka.enat
mujh men hai abad ye duniya ki ḳhud apna huun main
zindagi TuuTe hue ḳhvabon men guzri hai to kyaa!
aaj bhi ik ḳhvab ankhon men liye baiTha huun main
samt-e-manzil hi badal jaa.e to mera kya qusur
raston se puchh kar dekho kahin Thahra huun main
der tak hasrat se dekhegi use sham-e-safar
jis zamin par naqsh apne chhoḌ kar guzra huun main
chupke chupke raat bhar kahta hai ‘aḳhtar’ mujh se dil
bastiyan abad hain mujh se magar sahra huun main
Leave a Reply