ek guḌiya ki ka.i kaTh-putliyon men jaan hai
aaj sha.ir ye tamasha dekh kar hairan hai
ḳhaas saḌken band hain tab se marammat ke liye
ye hamare vaqt ki sab se sahi pahchan hai
ek buḌha aadmi hai mulk men ya yuun kaho
is andheri koThari men ek raushan-dan hai
maslahat-amez hote hain siyasat ke qadam
tu na samjhega siyasat tu abhi nadan hai
kal numa.ish men mila vo chithḌe pahne hue
main ne puchha naam to bola ki hindustan hai
Leave a Reply