hai karam us ka ki insan bhi azimushshan hua
varna thi kya baat jo nur-e-ḳhuda hairan hua
kya kare tarif us ki vo bhi banda-e-ḳhuda
jis pe ye zi-ruh kya aalam sabhi nazan hua
us ke kun kahne se aalam aur phir kya kya bana
aql-e-insani se be-shak raaz ye pinhan hua
jab hai saari ka.enat us ki ibadat men magan
to use kya gar jo koi munkir-e-yazdan hua
azma.ish to ḳhalilullah ki puuri hui
ba.ad is ke kaise kaise aadmi qurban hua
haan vahan hoga mayassar iḳhtiyar
main na janun phir mira kyunkar na kam arman hua
zulm insan par musalsal hai kiya kis ne suno
murtakib is jurm ka haa.e ki bas insan hua
ai bayaban in daraḳhshan shahron se thi kya jalan
jo tiri surat ki manind shahar ye viran hua
is tarah shayad salamat ta-qayamat tu rahe
ho mubarak ab tira dushman tira darban hua
darja-e-uzma pe faa.ez to yahan insaf hai
be-qusuron va be-bason ka muntazir zindan hua
yuun to hasrat zindagi saari musalman hi raha
vaqt-e-aḳhir vo magar main sahab-e-iman hua
Leave a Reply