• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ghaflat Mein Hui Auqat Basar Ai Umr-E-Gurezan Kuchh Na Kiya

Ghaflat Mein Hui Auqat Basar Ai Umr-E-Gurezan Kuchh Na Kiya

shad-azimabadi

ghaflat men hui auqat basar ai umr-e-gurezan kuchh na kiya

sab chalne ke the saman baham chalne hi ka saman kuchh na kiya

vaaiz ne bhare kham chuur kiye tar kar di zamin ai pir-e-mughan

zalim ne zara bhi tera lihaz ai rahbar-e-iman kuchh na kiya

aamal ki zishti ka badla main kah nahin sakta kya milta

bheja bhi agar dozakh men tujhe ai sahab-e-iman kuchh na kiya

mai piine ka dil men josh na tha zahir ki talab thi hosh men aa

saaqi ne milaya zahar agar ai munkir-e-ehsan kuchh na kiya

maana ki badi saffak hai tu bil-farz badi jallad hai tu

main jiita raha ta-subh agar to ai shab-e-hijran kuchh na kiya

taklif kisi ko gar pahunchi tu is men takalluf kya nikla

hairan jo rakha qatil ko to ai shab-e-hijran kuchh na kiya

ulta na iraq-o-sham-o-halab duniya na hui viran to kya

jal-thal na lahu se to ne bhara to khun-e-musalman kuchh na kiya

sunta huun adu ko khaak kiya mitti men milaya ghar us ka

phunka na jala kar mujh ko agar tu ai shab-e-hijran kuchh na kiya

kya ji ke karunga main tanha yaan taab kahan baaqi dil ko

be-maut ke ab maara na mujhe to dagh-e-azizan kuchh na kiya

jumbish se tiri maqtal hota ik aan men dasht-e-karb-o-bala

ushshaq ki bebaki ka evaz ai abru-e-barran kuchh na kiya

ai nang-e-jahan ai ‘shad’ bata kuchh sharm bhi tujh ko hai ki nahin

ai jehl-e-murakkab ai haivan ai be-khabar insan kuchh na kiya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hafiz Shirazi

Aashiq-e-Yaram Mara Ba-Kufr-O-Ba-Iman Che Kar

Dil Ki Duniya Mein Tujhe La Ke Main Hairan Kar Dun

Kaun Hun Kya Hun Batati Nahin Surat Meri

muneer-niyazi

Imtihan Humne diye Is dar-E-Fani Mein Bahut

poet

Maqdur Kya Mujhe Ki Kahun Wan Ki Yan Rahe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet