vafa ki sham.a jalao ki ham ghazal kah len
udaas raat hai aao ki ham ghazal kah len
kisi ke saath guzare hue hasin lamho
tum aaj yaad to aao ki ham ghazal kah len
bikhere jaao fazaon men aaj tum naghme
sunao giit sunao ki ham ghazal kah len
tumhare husn ka charcha hai chand-taron men
kabhi zamin pe aao ki ham ghazal kah len
kisi ki yaad ki mash.al jala jala ke ‘asar’
andhera gham ka miTao ki ham ghazal kah len
Leave a Reply