dekh kar jauban tira kis kis ko hairani hui
is javani par javani aap divani hui
parde parde men mohabbat dushman-e-jani hui
ye khuda ki maar kya ai shauq-e-pinhani hui
dil ka sauda kar ke un se kya pashimani hui
qadr us ki phir kahan jis shai ki arzani hui
mere ghar us shokh ki do din se mehmani hui
bekasi ki aaj kal kya khana-virani hui
tark-e-rasm-o-rah par afsos hai donon taraf
ham se nadani hui ya tum se nadani hui
ibtida se intiha tak haal un se kah to duun
fikr ye hai aur jo kah kar pashimani hui
gham qayamat ka nahin vaaiz mujhe ye fikr hai
diin kab baaqi raha duniya agar faani hui
tum na shab ko aaoge ye hai yaqin aaya hua
tum na manoge miri ye baat hai maani hui
mujh men dam jab tak raha mushkil men the timardar
meri asani se sab yaron ki asani hui
is ko kya kahte hain utna hi badha shauq-e-visal
jis qadar mashhur un ki pak-damani hui
bazm se uthne ki ghairat baithne se dil ko rashk
dekh kar ghairon ka majmaa kya pareshani hui
dava-e-taskhir par ye us pari-vash ne kaha
aap ka dil kya hua mohr-e-slemani hui
khul gaiin zulfen magar us shokh mast-e-naz ki
jhumti bad-e-saba phirti hai mastani hui
main sarapa sajde karta us ke dar par shauq se
sar se pa tak kyuun na peshani hi peshani hui
dil ki qalb-e-mahiyat ka ho use kyunkar yaqin
kab hava mitti hui hai aag kab paani hui
aate hi kahte ho ab ghar jaenge achchhi kahi
ye misal puuri yahan man-mani ghar jaani hui
arsa-e-mahshar men tujh ko dhund laun to sahi
koi chhup sakti hai jo surat ho pahchani hui
dekh kar qatil ka khali haath bhi ji dar gaya
us ki chin-e-astin bhi chin-e-peshani hui
kha ke dhoka us but-e-kamsin ne daman men liye
ashk-afshani bhi meri gauhar-afshani hui
bekasi par meri apni tegh ki hasrat to dekh
chashm-e-jauhar bhi ba-shakl-e-chashm-e-hairani hui
bekasi par ‘dagh’ ki afsos aata hai hamen
kis jagah kis vaqt us ki khana-virani hui
Leave a Reply