ruk ja hujum-e-gul ki abhi hausla nahin
dil se khayal-e-tangi-e-daman gaya nahin
jo kuchh hain sang-o-khisht hain ya gard-e-rah-guzar
tum tak jo aae un ka koi naqsh-e-pa nahin
har astan pe likhkha hai ab nam-e-shahr-yar
vabistagan-e-dil kai liye koi ja nahin
sad-haif us ke haath hai har zakhm ka rafu
daman men jis ke ek bhi tar-e-vafa nahin