ik tire saath vafa karne ki tayyari men
din guzarte rahe auron ki vafadari men
mere hone pe hai ehsas-e-ḳhuda ki buniyad
ḳhaak ka hona zaruri hai shajar-kari men
shaḳh se shaḳh lipaTti hai hava chalne par
sar pe chhat aam nazar aati nahin yaari men
kahin aisa na ho bulbul ki nazar bhi paḌ jaa.e
phuul ne phuul ko dekha nahin hushyari men
kun haTa aur faya-kun ka koi matlab na raha
ye ana hoti hai fankar ki fankari men
tujh ko tartib lagate hue is dhyan men huun
kaun sa dukh hai jo rakkha nahin almari men
Leave a Reply