samajh ghar yaar ka main shah-nashin-e-dil ko dhota huun
kahen hain log divane ki divana huun rota huun
bujhae ashk ye khuun ke jo favvare uchhalte hain
mizha se yaar ke le nashtar ankhon men chubhota huun
madad ai khizr-e-girya gharq kariyo nav-e-dil aaj hi
ye hai dubvane vaala main ise pahle dubota huun
but-e-sangin dil ki dekh tasvir ankhen pathrain
thithuk huun naqsh-e-qalin sa na rota huun na sota huun
main ku-e-maikashan-o-mahvashan ke muttasil pahuncha
khabar-dar ai harifo ab havas-o-hosh khota huun
mabada mere gul-ru ka gul-e-rukhsar murjhave
phuvar ai ‘azfari’ de ansuon ki main bhigota huun
Leave a Reply