na qatra kam hai na kaafi tamam mai-ḳhana
jo zarf jis ka hai us ka vahi hai paimana
asar hai sab pe mai-e-ishq ka judagana
kisi ko nashsha nahin hai koi hai divana
tajalliyon men ho taqsim ḳhak-e-dil kyun-kar
hazar sham.a farozan aur ek parvana
bayan-e-zaḳhm-e-jigar par vo muskurate hain
hansi hansi men badalte hain rang-e-afsana
kisi ke zaḳhm se milta nahin kisi ka zaḳhm
tiri nazar ke hain ruḳh kis qadar judagana
har ek zarra sharabi har ek qatra sharabi
tamam alam-e-imkan hai ek mai-ḳhana
jahan-numa to hai saqi-numa nahin ‘natiq’
badal ke le gaya jamshed mera paimana
Leave a Reply