dil se har dam hamen avaz laga aati hai
band kanon ko bhi girye ki sada aati hai
dil se hai aankh tak aa.i asar-e-garmi-e-shauq
ashk-e-hasrat se nigah abla-pa aati hai
gul hua koi charagh-e-sahari o bulbul
haath malti hui patton se saba aati hai
teri ankhon ka huun bimar main o isa-dam
na dua aati hai mujh ko na dava aati hai
aa.ina saaf sikandar ko dikhaya tu ne
ḳhuub ai ḳhizr tujhe raah bana aati hai
chhu liya dhoke se daman-e-saba tu ne to kya
ghuncha-e-gul kahin muTThi men hava aati hai
jis qadar vasl-e-butan ka tumhen rahta hai firaq
ai ‘nasim’ itni kabhi yad-e-ḳhuda aati hai
Leave a Reply