• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kasrat Se dagh Hain Jo Gham-E-Ishq-E-Khaal Mein

Kasrat Se dagh Hain Jo Gham-E-Ishq-E-Khaal Mein

munshi-naubat-rai-nazar-lakhnavi

kasrat se daagh hain jo gham-e-ishq-e-khal men

til bhar jagah nahin hai dil-e-pur-malal men

ifsha-e-raz-e-ishq jo ashkon ne kar diya

duuba hua hai dil araq-e-infial men

rahti nahin hai zulf-e-pareshan banav se

bikhri hai is liye ki phanse koi jaal men

ai jaan dil ke gor-e-ghariban men aaiye

sab arzuen dafn hain gard-e-malal men

dil ko jo yad-e-jalva-e-ariz hai dam-ba-dam

raushan hai sham-e-husn makan-e-khayal men

kya dil dukhaoge jo maza dard ka nahin

dam bhar to baitho aa ke dil-e-pur-malal men

ham ko hujum-e-gham bhi ghanimat hua ‘nazar’

sab aib dil ke chhup gae gard-e-malal men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ahsan-yusuf-zai

Hamari Sansen Mili Hain Gin Ke

Sheikh Saadi

Khush-Tar Az dauran-e-Shq Ayyam Nist

Dasht-E-Dua Mein Tere Parastar Rah Gae

muneer-niyazi

Jadu Ka Khel

poet

Nikalna Ho dil Se dushwar Kyun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet