Niyyat Ho Agar Nek to Deta Hai KHuda Bhi

niyyat ho agar nek to detā hai ḳhudā bhī

karte haiñ amal log to miltā hai sila bhī

bātin kī harārat se phuñke jaate haiñ tan-man

purvā.ī bhī chaltī hai barastī hai ghaTā bhī

chhū kar nahīñ guzrī hai tirī zulf-e-muattar

is baar to mahrūm chalī aa.ī sabā bhī

ik tum ho ki bichhḌe to bichhaḌ hī ga.e ham se

milte haiñ bahut log to hote haiñ judā bhī

ādāb-e-mohabbat the ki dāman nahīñ chhoḌā

tum duur na the duur na the band-e-qabā bhī

kis yaas ke aalam meñ hoñ kyā jāniye ‘at.har’

muddat huī aa.ī nahīñ hoñToñ pe duā bhī

Leave a Comment