• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Yun To Ikhlas Mein Is Ke Koi dhoka Bhi Nahin

Yun To Ikhlas Mein Is Ke Koi dhoka Bhi Nahin

syeda-shan-e-meraj

yuun to ikhlas men is ke koi dhoka bhi nahin

kab badal jaae magar is ka bharosa bhi nahin

kaat di vaqt ne zanjir-e-taalluq ki kadi

ab musafir ko koi rokne vaala bhi nahin

phir na yadon ke kahin band dariche khul jaaen

muddaton se tiri tasvir ko dekha bhi nahin

jal gaya dhuup men yadon ka khunuk saaya bhi

be-nava dasht-e-bala men koi ham sa bhi nahin

thak gae hain mire nakam iradon ke qadam

ab nigahon men koi shauq ka sahra bhi nahin

aaine aks se mahrum nigah manzar se

ab ye tanhai ka aalam hai ki saaya bhi nahin

ai miri umr ke maazur guzarte lamho

tum ne jaate hue mud kar kabhi dekha bhi nahin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ye Mahshar-E-Soz-O-Saz Kya Hai

Mera Mushkil-Kusha Hai Aur Main Hun

Tujhe Kaun Jaanta Tha Meri Dosti Se Pahle

Kahin Main Kam Hun Abhi Tak Kahin Siwa Hun Main

ahmad-rahi

Gham-e-Hayat Mein Koi Kami Nahin Aai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet