• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Lagi Hai Misi Pan Khae Hue Hain

Lagi Hai Misi Pan Khae Hue Hain

poet

lagi hai misi paan khaae hue hain

sunane pe beda uthae hue hain

ghazab hai hasinon se dil ka lagana

ye aafat ke putle banae hue hain

mire khat ko phada raqibon ke aage

kisi ki vo patti padhae hue hain

ulajhne se balon ke bigdo na sahib

tumhare hi ye sar chadhae hue hain

kaleja hatheli pe rakh luun to jaun

vo hathon men mehndi lagae hue hain

shab-e-hijr jab khvab dekha ye dekha

ki tujh ko gale se lagae hue hain

tiri tegh ki aab jaati rahi hai

mire zakhm paani churae hue hain

jidhar dekhta huun unhen ka hai jalva

vo nazron men aise samae hue hain

utarenge kis kis ko nazron se ‘anjum’

vo kyuun aaj tevari chadhae hue hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jalwa-Farosh-E-KHas Ka Andaz-E-Am Dekh

akhtar-muslimi

Nale Mere Jab Tak Mere Kaam Aate Rahenge

Maulana Rumi

Be-Taat-e-din-e-Bahisht Rahman Ma-Talab

Hai Aafat-E-Jaan Husn Ki shoKHi Bhi Ada Bhi

akhlaque-bandvi

Charkh Bhi Chhu Len To Jaana Hai Isi Mitti Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet