sharminda ham junun se hain ek ek taar ke
kya kijiye ki din hain abhi tak bahar ke
ai umr-e-shauq dekhiye milta hai kya javab
ham ne kisi ka naam liya hai pukar ke
sar-gashta-e-alam ho ki shorida-sar koi
ehsan hain ahl-e-shauq pe divar-e-yar ke
allah re intizar-e-baharan ki lazzaten
guzri hai yuun ḳhizan bhi ki din hon bahar ke
‘tabish’ sukun-e-dard se taskin-e-marg tak
dil ho agar to laakh hain pahlu qarar ke
Leave a Reply