kisī charāġh kī ḳhvāhish na justujū mujh ko
maiñ ḳhud meñ jaltā rahūñ ye hai aarzū mujh ko
ye apnā aap sameTā hai maiñ ne mushkil se
bikhar na jā.ūñ kahīñ is tarah na chhū mujh ko
kisī ko fikr nahīñ thī mere sivā terī
vagar na bhuul na jaatī kabhī kī tū mujh ko
salīb-o-nok-e-sināñ shok ḳhud-sarī hai mirā
Darā rahā hai inhīñ se mirā adū mujh ko
diyā thā izn-e-takallum jise kabhī maiñ ne
sikhā rahā hai vo andāz-e-guftugū mujh ko