gard ne khema taan liya tha
dhuup ka shisha dhundla sa tha
nikhat-o-nur ko rukhsat karne
badal duur talak aaya tha
gae dinon ki khushbu pa kar
main dobara ji uttha tha
soti-jagti gudiya ban kar
tera aks mujhe takta tha
vaqt ka thathen marta sagar
ek hi pal men simat gaya tha
jangal dariya khet ke tukde
yaad nahin ab aage kya tha
niil gagan se ek parinda
piili dharti par utra tha
Leave a Reply