• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Har Aan Jalwa Nai Aan Se Hai Aane Ka

Har Aan Jalwa Nai Aan Se Hai Aane Ka

poet

har aan jalva nai aan se hai aane ka

chalan ye chalte ho ashiq ki jaan jaane ka

qasam qadam ki tire jab talak hai dam men dam

main paanv par se tire sar nahin uthane ka

hamari jaan pe girti hai barq-e-gham zalim

tujhe to sahl sa hai shaghl muskurane ka

qasam khuda ki main kuchh kha ke so rahunga sanam

jo saath apne nahin mujh ko tu sulane ka

nasib us ke sharab-e-bahisht hove mudam

hua hai jo koi mujid sharab-khane ka

bahut se khun-kharabe machenge khana-kharab

yahi hai rang agar tere paan khane ka

hamari chhati pe phirta hai saanp yaan ‘ehsan’

vahan hai shaghl use zulf ke banane ka

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

De Kar Fareb Pyas Ki Aazurdagi Ko Hum

nazeer-akbarabadi

dil Thahra Ek Tabassum Par Kuchh Aur Baha Ai Jaan Nahin

Ab Is Sada Kahani Ko Naya Ek moD Dena Tha

Ras Un Aankhon Ka Hai Kahne Ko Zara Sa Pani

saleem-kausar

Phir Ji Uthe Hain Jis Se Wo Imkan Tum Nahin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet