• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kuchh Na Kuchh Hoga Meri Mushkil Ka Hal Furqat Ki Raat

Kuchh Na Kuchh Hoga Meri Mushkil Ka Hal Furqat Ki Raat

kuchh na kuchh hoga miri mushkil ka hal furqat ki raat

tum na aaoge to aa.egi ajal furqat ki raat

aa gaya kya nazm-e-hasti men ḳhalal furqat ki raat

ruk gaya kyuun daur-e-gardun ka amal furqat ki raat

ho rahi hain shaam se sakin ghaḌi ki suiyan

paanv phailata hai kya ek ek pal furqat ki raat

sard sard aahon se yuun aansu mire jamte ga.e

ho gaya ta.amir ik moti-mahal furqat ki raat

kuchh nahin khulta ki aḳhir is qadar lambi hai kyuun

vasl ke din ka hai jab radd-e-amal furqat ki raat

zindagi bhar ye bala pichha na chhoḌegi mira

aaj ja.egi to phir aa.egi kal furqat ki raat

sub.h ka munh dekhna mere muqaddar men na tha

mera andesha na tha kuchh be-mahal furqat ki raat

dard men Duube hue hain shahr saare ai ‘vafa’

kis qayamat ki kahi tu ne ghazal furqat ki raat

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ghuncha Jo Sar-E-shaKH chaTakte Hue Dekha

Ho Ke Aashiq Jaan Marne Se Churae Kis Liye

abdurrahman-momin

Aapne Jab Kaha Ki Khush Hun Main

Na Jaane Kab Se Main Gard-E-Safar Ki Qaid Mein Tha

Bagh Sara to Bayaban Na Hua Tha so Hua

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet