na kuchh sitam se tire aah aah karta huun
main apne dil ki madad gaah gaah karta huun
na afrin na dilasa na dil-dahi na nigah
gharaz main hi huun jo tujh se nibah karta huun
ise kahen hain suna hoga shaiḳh ḳhauf o raja
udhar tu tauba idhar main gunah karta huun
tu apne dil ki siyahi kare hai dho ke safed
main apne naama amal ka siyah karta huun
tu roz sang se masjid ke sar paTakta hai
main us ka naqsh-e-qadam sajda-gah karta huun
tujhe hai apni ibadat upar nazar kyunkar
main us ke fazl ke uupar nigah karta huun
misal-e-rishta-e-tasbih roz o shab ‘hatim’
chhupe chhupe main kisi dil men raah karta huun
Leave a Reply