ḳhata qubul nahin hai to ḳhud ḳhata kar dekh
ya ek baar barabar men mere aa kar dekh
ye mera sabr hai ye mujh pise hue ka sabr
ḳhuda-e-qahr tu aa qahr aazma kar dekh
ghurur vaar diya main ne fi-sabilil-ishq
ai ishq tu bhi to ab thoḌa hausla kar dekh
main dil ka achchha huun lekin zara sa huun gustaḳh
tu ek baar mujhe siine se laga kar dekh
tu aazma to chuka hai ye saare makr-o-fareb
bas ab azan-e-mohabbat zaban pe la kar dekh
vo kuchh batane se shayad jhijakti hogi ‘vaqar’
tu ek baar use naam se bula kar dekh
Leave a Reply