khamosh baithe ho kyuun saz-e-be-sada ki tarah
koi payam to do ramz-ashna ki tarah
kahin tumhari ravish khar-o-gul pe baar na ho
riyaz-e-dahr se guzre chalo saba ki tarah
niyaz-o-ijz hi mearaj-e-adamiyyat hain
badhao dast-e-sakhavat bhi iltija ki tarah
jo chahte ho badalna mizaj-e-tufan ko
to nakhuda pe bharosa karo khuda ki tarah
mujhe hamesha rah-e-zist ke dorahon par
ik ajnabi hai jo milta hai ashna ki tarah
tamam umr raha sabiqa yazidon se
mire liye to ye duniya hai karbala ki tarah
umiid un se vafa ki to khair kya kiije
jafa bhi karte nahin vo kabhi jafa ki tarah
ye dahr bhi to hai mai-khana-e-alast-numa
raho yahan bhi kisi rind-e-parsa ki tarah
zaban pe shikva-e-be-mehri-e-khuda kyuun hai?
dua to mangiye ‘atish’ kabhi dua ki tarah
Leave a Reply