dil ko afsos-e-javani hai javani ab kahan
koi dam men chal basenge zindagani ab kahan
aap ulatre hain vo parda vo kahani ab kahan
ashiqon se guftugu hai lan-tarani ab kahan
jab hamare paas the un ko hamara paas tha
thi hamari qadr jab thi qadr-dani ab kahan
ai pari-paikar tira mere hi dam tak tha banav
surkh mubaf o libas-e-zaafrani ab kahan
bad-mizaji naujavani ne sikhai hai unhen
dushman-e-jan ho gae hain mehrbani ab kahan
yaar aa nikla tha ai dil phir vo kyuun aane laga
ho gaya ik ye bhi amr-e-na-gahani ab kahan
baad mere phir kisi ne bhi suni avaz-e-yar
thi mujhi tak lan-tarani lan-tarani ab kahan
baagh men nahren bhari hain phuul phal ka tha maza
band hain kunj-e-qafas men dana-pani ab kahan
teri aur apni haqiqat ja ke iisa se kahun
is qadar taqat bhala ai na-tavani ab kahan
shefta jab tak na the shohrat thi zabt-o-sabr ki
dard-e-tanhai ki taab ai yar-e-jani ab kahan
dil men taqat thi tadap lete the bismil ki tarah
jaan men halat nahin vo jan-fishani ab kahan
ghuur lete the jafa-karon ko jab maftun na the
ho gae chaurang khud changez-khani ab kahan
apni qudrat us ne dikhla di shab-e-mearaj men
ho chuki bas mehmani mehmani ab kahan
lahlahate the chaman maftun gulon par the bahar
lut gai bu-bas ai barg-e-khizani ab kahan
hal-e-dil kahvate the jab qasid aate jaate the
nama-e-shauq aur paigham-e-zabani ab kahan
dagh-e-dil us ne diya tha dil ko ham ne kho diya
ai ‘sharaf’ us be-muravvat ki nishani ab kahan
Leave a Reply