ek aayat paḌh ke apne-ap par dam kar diya
ham ne har chehre ki janib dekhna kam kar diya
ehtiraman us ke qadmon men jhuka nadan main
us ne mera qad hamesha ke liye kam kar diya
mujh se auron ki juda.i bhi sahi jaati nahin
main ne do bhigi hui palkon ko baham kar diya
khil rahe hain mujh men duniya ke sabhi nayab phuul
itni sarkash ḳhaak ko kis abr ne nam kar diya
kar rahe the ishq men suud o ziyan ka vo hisab
un ke taḳhmine ne mera dard bhi kam kar diya
saath jitni der rah luun kaun sa khulta hai vo
us ne danista mire sheron ko mub.ham kar diya
Leave a Reply