gul-bang thi gulon ki hamara tarana tha
apna bhi us chaman men kabhi ashiyana tha
kucha men us ke naala mera be-kasana tha
apna bhi is chaman men kabhi ashiyana tha
jab koi zulf men bhi na kuchh dakhl-e-shana tha
saudai tha mizaj mera ashiqana tha
bulbul ko apna naala mauzun tarana tha
har gul bhi maail ghazal-e-ashiqana tha
nalon men bulbulon ki jo rang-e-tarana tha
fasl-e-bahar thi vo gulon ka zamana tha
uljha hua jo gesu-e-janan men shana tha
sumbul men ek aur naya shakh-e-shana tha
saudaiyon ko thi tiri uljhan bala ki raat
zulf-e-dota ka tul-o-tavil ik fasana tha
jaate hain aap aur bura haal hai mira
aati jo ab to maut ko achchha bahana tha
tir-e-nigah ki jo kaman thi judi hui
apna jigar kabhi to kabhi dil nishana tha
dariya-e-mai ki ghaat utarenge ham unhen
shirin ka ju-e-shir ka agla zamana tha
apni shab-e-visal ka allah-re ehtimam
shabnam ki shabnami thi falak shamiyana tha
kamli ko apna taan ke soya faqir mast
kya pashm tha amiron ka jo shamiyana tha
kaaba ka ehtiram khuda-saz ho gaya
us vaqt men kahan ye tira astana tha
dair-o-haram men kya tha agar ham se puchhiye
shayan-e-sajda-e-yar tira astana tha
kunj-e-qafas men shikva-e-sayyad kya karun
us ka qusur kya hai mera ab-o-dana tha
rozi hua hai dana-e-zanjir-o-ab-e-tegh
qismat ka ashiqon ki ye hai ab-o-dana tha
lohe ke the chane tire chhinte ghazab ke thi
sayyad khuub apne liye ab-o-dana tha
ho mujh sa andalib khush-ilhan asir-e-dam
sayyad ka nasib mera ab-o-dana tha
gandum jo khuld men to yahan thi sharab-e-nab
ik main tha do jagah pe mira ab-o-dana tha
rind-e-sharab-e-khar raha main tamam-umr
angur ka nasib mujhe ab-o-dana tha
main vo sadaf huun jis ke hai dariya-dili ka shor
jo hans chug raha hai mira ab-o-dana tha
bulbul ke aage apni badi baat rah gai
ghuncha se to kahin tera chhuta diya na haath
rangin-khayaliyan dam-e-fikr-e-sukhan na thiin
zeb tan-e-urus libas-e-shahana tha
missi kabhi mali kabhi gesu bana kiye
shab-bhar shab-e-visal men hila-bahana tha
tujh se siva to ai sanam allah ka hi naam
achchha tha haan hasin tha yusuf bura na tha
yaran-e-raftagan ka nishan khaak dhundhiye
reg-e-ravan ka qafila tha jo ravana tha
munh dekhi un ke samne kahte nahin hain ham
apni zaban pe vasf-e-dahan ghaebana tha
bad-e-bahar ja ke oda laai baagh men
kya ganj-e-shaegan zar-e-gul ka khazana tha
apna samand-e-umr jama jam ke ud gaya
shayad hamara raz-e-nafas taziyana tha
raz-e-nihan kisi pe na apna ayaan hua
na-ashna-e-gosh hamara fasana tha
pahchaniye to khaak ke putlon ki khaak ko
begana kaun kaun sa un men yagana tha
us shoala-ru ki thi jo dil-e-saf men jagah
atish-kada ye ‘mehr’ ka aina-khana tha
Leave a Reply