rulva ke mujh ko yaar gunahgar kar nahin
ankhen hain tar to hon mira daman to tar nahin
ummid-e-vasl se bhi to sadma na kam hua
kya dard jaega jo dava ka asar nahin
din ko bhi dagh-e-dil ki na kam hogi raushni
ye lau hi aur hai ye charagh-e-sahar nahin
tanha chalen hain maarka-e-ishq jhelne
un ki taraf khudai hai koi idhar nahin
khali safai-qalb se behtar hai dagh-e-ishq
kya aib hai ki jis ke muqabil hunar nahin
qatil ki raah dekh le dam bhar na zahr kha
ai dil qaza ko aane de be-maut mar nahin
kyunkar yahan na ek hi karvat pada rahun
hu ka maqam gor ki manzil hai ghar nahin
ran-khan padenge jab kahin dikhlaega vo shakl
be-kisht-e-khun hui ye muhim ho ke sar nahin
ankhen jhapak rahi hain miri barq-e-husn se
pesh-e-nazar ho tum mujhe tab-e-nazar nahin
yaaro batao kis taraf ankhen bichhaun main
us shokh ki kidhar ko hai aamad kidhar nahin
banda-navaz sab hain ruku o sujud men
taaat se ghafil aap ki koi bashar nahin
pariyon ke paas jaun main kyuun dil ko bechne
sauda jo mol luun ye mujhe dard-e-sar nahin
dard-e-firaq-e-yar se donon hain be-qarar
qaabu men dil nahin mutahammil jigar nahin
rah-e-adam men saath rahegi tiri havas
parva nahin na ho jo koi ham-safar nahin
khalvat-sara-e-yar men pahunchega kya koi
vo band-o-bast hai ki hava ka guzar nahin
uthva ke apni bazm se dil ko mire na tod
pahlu men de ke ja mujhe barbad kar nahin
hasti kidhar hai alam-e-arvah hai kahan
ghaflat-zada huun mujh ko kahin ki khabar nahin
zanjir utar gai tira divana mar gaya
sannata qaid-khane men hai shor-o-shar nahin
chandra ke mujh ko bole vo akhir jo shab hui
faq ho gaya hai rang kisi ka sahar nahin
barpa hai hashr-o-nashr jo raftar-e-yar se
ye kaun sa chalan hai qayamat agar nahin
durr-e-najaf to jism hai us naznin ka
mu-e-najaf men baal pada hai kamar nahin
didar ka laga ke main aaya huun aasra
ummid-var huun mujhe mayus kar nahin
yaaro sitam hua hui akhir shab-e-visal
siina ‘sharaf’ ye kuut rahe hain gajar nahin
Leave a Reply