zamin se asman tak ka safar hai
yaqin jaisa guman tak ka safar hai
hamen to raat din chalna hai lekin
ḳhuda jaane kahan tak ka safar hai
mire us ke ta.alluq ki kahani
junun ke darmiyan tak ka safar hai
tire inkar ka saara ḳhulasa
tiri halki si haan tak ka safar hai
kitab-e-ishq ki har dastan men
har ik qissa ziyan tak ka safar hai
Leave a Reply