raqs yak nuur kabhi sail-e-bala dekhta huun
zehn par chha.i hui dhund men kya dekhta huun
tujh ko mahdud ḳhad-o-ḳhal men kar rakkha hai
main kahan tujh ko abhi tere siva dekhta huun
narm miTTi se uThe hain vo kunvare jazbat
jin ko pahne hue phulon ki qaba dekhta huun
aankh haa.il hai tiri diid men achchha hoga
aaj ye aḳhiri parda bhi uTha dekhta huun
kyuun na us parda-nashin ko ho takallum men hijab
main to avaz ko bhi chehra-numa dekhta huun
main vo kafir huun ki is zulmat-e-dil ke hathon
har chamakte hue chehre men ḳhuda dekhta huun
phir koi kunj-e-aman dasht-e-suḳhan men ‘sahba’
aaj phir dil ko pareshan-e-nava dekhta huun
Leave a Reply