rang-e-tasvir-e-jahan ko tira naqsha samjha
zarre zarre ko main ik husn-e-sarapa samjha
mahv-e-hairat jo tasavvur ne banaya mujh ko
apni tasvir ko main tera sarapa samjha
be-khud-e-jalva kabhi aur kabhi hushiyar raha
kabhi maabud kabhi khud ko main banda samjha
va-e-ghaflat ki sarab-asa na jaana us ko
bhuul itni hui duniya ko main duniya samjha
dida-e-tar ne uthae vo shab-e-gham tufan
jo gira aankh se qatra use dariya samjha
Leave a Reply