
Poet
tu jo kahta hai bolta kya hai
amr-e-rabbi hai ruh-e-maula hai
jab talak hai juda tu hai qatra
bahr men mil gaya to dariya hai
fil-haqiqat koi nahin marta
maut hikmat ka ek parda hai
aur shari.at ki puchhta hai tu yaar
vahdahu la-sharik yakta hai
haiga vahm-o-qayas se bahar
vo na tujh sa hai aur na mujh sa hai
jahan ho jo kaho sami-o-basir
sab ko dekhe hai sab ki sunta hai
nazar aata nahin vo a.ama ko
varna us ka zuhur sab ja hai
var tariqat ka tu kare hai saval
so to kahta huun gar samajhta hai
ghair-e-haq ke na dekh ghair taraf
dida-e-dil jo tera biina hai
baat sunta hai to usi ki sun
gar tariqat se tujh ko bahra hai
us ke tu zikr bin na kar kuchh zikr
gar dahan men zaban-e-goya hai
haath se kaam bhi usi ka kar
paanv se chal jo raah us ka hai
kaam is men baḌa hai nafs-kushi
ho sake to ajab tamasha hai
ma.arifat puchh kya hai aarif se
jis ko irfan hai so to gunga hai
jis ne paaya use so hai ḳhamosh
jis ne paaya nahin so bakta hai
aap hi aap hai jahan dekho
kullo-shai.in muhit-e-paida hai
ishq ka martaba hai sab se buland
sar se pahle qadam guzarta hai
jo hua sirr-e-ishq se agah
aage marne se aap marta hai
jo fana ho hua baqa-billah
kab use zindagi ki parva hai
us ko har aan har qadam har dam
az sura sair ta-surayya hai
ramz-e-tauhid ko samajh kar bol
gar tu sahib-shu.ur-o-dana hai
vo na samjhega ye suḳhan ‘hatim’
jis ko jahl aur ḳhayal-e-sauda hai

Leave a Reply