dil khauf men hai alam-e-fani ko dekh kar
aati hai yaad maut ki paani ko dekh kar
hai bab-e-shahr-e-murda guzar-gah-e-bad-e-sham
main chup huun is jagah ki girani ko dekh kar
hil si rahi hai hadd-e-safar fart-e-shauq se
dhundla rahe hain harf maani ko dekh kar
azurda hai makan men khak-e-zamin bhi
chizon men shauq-e-naql-e-makani ko dekh kar
Leave a Reply