kya gham jo falak se koi utra na sar-e-ḳhak
juz ḳhaak nahin koi yahan chara-gar-e-ḳhak
milti hai sharabon ki jagah gard-e-bayaban
mai-ḳhane ko jaate hain to khulta hai dar-e-ḳhak
sahra ko gulistan baḌe shauq se kah lo
ya.ani shajar-e-ḳhak se toḌo samar-e-ḳhak
darman-e-mohabbat hai nishan-e-kaf-e-pa bhi
ankhon se laga kar kabhi dekho asar-e-ḳhak
aghosh-e-lahad pahlu-e-madar se siva hai
kis ḳhauf se larzan hai tu ai be-ḳhabar-e-ḳhak
be-maqsadi-e-dahr ka maz.har hai tasahul
karne ko na ho kaam to insan kare ḳhaak
lalach ki nazar kaun kisi shaḳhs ko dekhe
ankhon ke vare ḳhaak hai ankhon ke pare ḳhaak
hai kaun jo phulon ki tamanna nahin rakhta
ik ‘sayyad’-e-divana ki daman men bhare ḳhaak
Leave a Reply