• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ab Bhi Guzre Hue Logon Ka Asar Bolta Hai

Ab Bhi Guzre Hue Logon Ka Asar Bolta Hai

ab bhi guzre hue logon ka asar bolta hai

raah ḳhamosh hai imkan-e-safar bolta hai

shaḳh se TuuT ke rishte nahin TuuTa karte

ḳhushk patton ki zaban men bhi shajar bolta hai

ye to duniya hai tasalsul ka amal jaari hai

bolne vaale chale jaa.en to ghar bolta hai

DhunDne jaa.en to milta hi nahin us ka pata

aur rasta hai ki ta-hadd-e-nazar bolta hai

un ke chehron pe hai tahrir kahan ke hain ye log

un ko jaana hai kidhar raḳht-e-safar bolta hai

aane vaale kisi lamhe ki ḳhabar ho shayad

sar jhuka.e hue ik ḳhaak ba-sar bolta hai

dard ki koi alag se nahin hoti hai zaban

meri avaz men ab saara nagar bolta hai

ghar men baiThe hue kya soch rahe ho ‘at.har’

band darvazon men ḳhud apna hi Dar bolta hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Chaman Mein Rah Ke Bhi Kyun Dil Ki Virani Nahin Jati

abdul-salam

Aag Sinon Mein Jala Kar Rakhiye

Insan Ke Dilon Mein Jab Aaen Mohabbaten

poet

Aap Ke Izn-E-Mulaqat Se Ji Darta Hai

Aap Ki Aankh Se Gahra Hai Meri Ruh Ka zaKHm

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet