aata hai subh uth kar teri barabari ko
kya din lage hain dekho khurshid-e-khavari ko
dil marne ka nuskha pahuncha hai ashiqon tak
kya koi janta hai is kimiya-gari ko
us tund-khu sanam se milne laga huun jab se
har koi janta hai meri dilavari ko
apni fusun-gari se ab ham to haar baithe
bad-e-saba ye kahna us dilruba pari ko
ab khvab men ham us ki surat ko hain taraste
ai aarzu hua kya bakhton ki yavari ko
Leave a Reply