be-mehr kahte ho use jo bevafa nahin
sach hai ki bevafa huun main tum bevafa nahin
uqda jo dil men hai mire hone ka va nahin
jab tak ki aap kholte zulf-e-dota nahin
ayyari dekhna jo gale milne ko kaho
kahta hai main to tum se hua kuchh khafa nahin
ashkon ke saath qatra-e-khun tha nikal gaya
siine men se to dil ko koi le gaya nahin
jalta hai sada-lauhi pe kya apni ji mira
dil le ke ab jo baat vo karta zara nahin
vo pur-khatar hai vadi-e-ulfat ki raah men
kahte hain khizr haae koi rahnuma nahin
karta huun teri zulf se dil ka mubadala
har-chand janta huun ye sauda bura nahin
kaise vo talkh-tar hain mire shor-e-ishq se
qismat se apna chahne men bhi maza nahin
josh-e-junun men sar pe udaen kahan se khaak
dil kya gaya ghubar hi ji men raha nahin
dekhun to le hai jaan malak-ul-maut kis tarah
tum vaqt-e-marg paas se uthna zara nahin
‘taskin’ ne naam le ke tira vaqt-e-marg aah
kya jaane kya kaha tha kisi ne suna nahin
Leave a Reply