be-tab paas sham.a ke parvana aa gaya
kya baat hai ki hosh men divana aa gaya
saaqi ki bargah men tauba hui qubul
ḳhud DhunDhta hua mujhe mai-ḳhana aa gaya
sajdon ka mere naaz uThane ke vaste
ka.abe ke samne dar-e-janana aa gaya
daman ko mere dekh ke hasrat ke haath men
yaad un ko apna lutf-e-karimana aa gaya
mujh ko mire saval pe baḳhsha hai do-jahan
ab e’tibar-e-tarz-e-faqirana aa gaya
thi shaiḳh-o-barhaman ki mai-o-angbin pe bahas
itne men baḌh ke ‘kaifi’-e-divana aa gaya
Leave a Reply